GURU OUR SAD GURU Sabse pahale janm se maa guru hoti hai.* usake bad pita.* our anya sage sambandhi jo hame bolna sikhate hai, chalna sikhate hai, uske baad jab school jate hai tab shiksha dene vale guru kahlate hai. our sansarik koi bhi kaam ho use sikhane vale ko humm guru kah sakte hai, jo bhi ho voh sabhi guru kahlayenge sadguru nahi, sad guru viral hote hai,voh apani khud ki pahchan karvate hai, yani tum kon ho, tumhare sansar me aane ka prayojan kya hai, our tumhara janm kyo hua, our us prabhu ko kis tarah se jana our samja ja sakta hai, vaise guru bahot milenge, parantu sadguru milana bade bhagya ki bat hoti hai, use hi milte hai jo layak hote hai to sad guru se rishta rakhane ka kya matlab; kya fayda, sad guru voh hote hai jo hamari aantarik yatra yani jiv ko shiv me milane ka kaam karte hai, vo viral hote hai, ve apne ko rasta batane ke sath, apnaa hath pakad kar sath chalte hai, jab tak shishya puranata prapt nahi karta tab tak apnaa sath nahi chodte saath ka matlab saath me rahna nahi apni antarik sakti ke roop me vo hamare sath rahte hai, unki pehachaan kya unki pehachaan sangati se aati hai, jinke sang rahne se andar gyan pipasa ko shaant kar hame sahi our sadhi bhasha ke sath hamare antar me nihit sukshma shakti (kundalini) jo hamare antar susupta avastha me hoti hai, use jagrut kar udhrava gami kar sakane ki kshamta rakhta ho, our jagrut kundalini ka anugran kar usaka nigrah ki kshmata rakhta ho vohi sacche sad guru hai, sadguru vohi ho sakte hai jo kisi ke shishya hokar gyan dhyan kar puranata prapt ki ho, jo guru shishya ke parampra se ho jisne apne apko mitakar khud hi khuda ban gaya ho vohi sahi me sad guru hai, guru ka darja bhagwan se uncha kyo hai, kyoki voh shishya ko dixit karte hai jo kaam bhagwan nahi kar sakte hai, sadhana karva kar shaktipaat ke dwara shishya ke antar me diksha ke dwara utar kar shishya ke gun-avagun na dekhkar karuna se shishya ke sabhi durgun, man ki malinta, dushtata, haran karte hai, na ki shishya ka dhan;---in sabhi dura charo ka haran kar use us layak banate hai. us shakti ko apane andar kriyashil ho shakti ka sanchay kar sakne ki kshamta prapt kar sake kyoki usi shakti ke dwara mahayog ki yatra ki suruvat hoti hai, us divya shakti ko sambhaalne our sanjone ki kshamta prapt hoti hai santone kaha hai ki pani peena chhan kar guru karna janke, kyoki sadhan our sadhana tabhi safal hoti hai, jab siddh ke dwara koi mantra mile us mantra ko usne japa ho to vo hi mantra ko apne ko deve to hi fal deta hai. varna mntra an ginat hote hai vaise vo mantra denge vo humne pehale bahot bar padha bhi hoga parantu vo sab jad mantra hote hai, mantra to chaitanya hone par hi fal deta hai, vaise yeh sab bate har ek yog me lagu hoti hai,**Chahe bhakti yog ho,;**Chahe-lay yog ho;-**Sankhya yog ho;** Raj yog ho;-**Chahe mantra yog ho;-**Chahe karm yog ho;** Chahe hat yog ho;** Chahe tantrik yog ho;**Chahe siddh yog ho;* *Chahe prem ypg ho;**Chahe das yog ho;**in sabhi me siddhguru ke bager kuch bhi karonge to voh sab sirf kasrat ke alava kuch bhi prapti nahi hoti vaise yeh bahot hi bada evam lamba chouda vishay hone ke sath gehara bhi hai voh sab yaha kahna likhna sambhav nahi hai;agar kisi ki jigyasa ho to use jaroor di jayegi; sad gurunath maharaj ki jay Ommmmmmmmm!!!!!!!!!!!!!