Nimnalikhit maha mrutyunjay mantra ka nitya prataha uthte hi ek bar ekagra chitta se uccharan karte rehne se aap kisi bhi akasmik durghatna se bache rahenge. Yaha maha-mrutyunjay mantra manav ki akal mrutyu se raksha karne wala ek jeevan data mantra hai. Aaj kal jab ki durghatnaon ki sambhavnaye pag-pag par hai. Yaha maha mantra train,motor, sarpa dansh, bijli, aklash aur jal aadi sabhi prakar ki akasmik durghatnaon se nischit suraksha pradan karta hai. Iske atirikta iska purna shraddha aur bhakti ke sath jap - anusthan manav ke asadhya rogon ko nasht karne tatha manav ko dirghayu shanti aur aishvarya pradan karne me shaksham hai. "oum trayambakam yajamahe sugandhi pushtivardhanam |" "urvarukumeva bandhananmrutyormukshiya mamritat ||"